naya saal nahi ek anjaam hai
jeevan ke safar me bas ek mukaam hai
samay hai peeche dekh ke
thoda hansne , thoda rone ka
aur un beeto palo ko thoda sa
phir se jee lene ka
naya saal nahi ek anjaam hai
jeevan ke safar me bas ek mukaam hai
samay hai aage ke raasto ko utsaah se dekhne ka
apne kamiyo ko nikal fekne ka
sampurna hota nahi koi
sampurnta ki bas talaash hi jeevan ka kaam hai
naya saal nahi ek anjaam hai
jeevan ke safar me bas ek mukaam hai
mat karo naye vaade apne se
tute vaado ko bhojh bada bhari hota hai
agar karna hai to ye vada kar lo
ki chehre pe mushkaan,dil me ek tarang
aur man me na koi bojh ho
itna karna hi kaam tamaam hai
Good one! Happy New Year!
naya saal ek padav hai
jeevan ka safar uhi chalne ka naam hai
Daur aasha nirasha ki, raahe yaha sukh dukh ki,
yaha muskurati subaha aur aanandit shaam hai
kya laksha hai tera, pahunchana hai kaha ?
bas ye janana jaruri , baki bharosa Ram hai
Koi saathi, koi mitra, koi sakha to koi guru
jo jitna sath de woh uska ahesaan hai
man me umang aur aankho me sneh,
Prem bhakti me jute rahe, aur kaunsa kaam hai ?
Jeevan ke us utsav me, chale chale yu chale chale
Jeevan dhara Raam hai , Jeevan dhara Shyaam hai
Bhai Uday
Waah
[...] कविता !! इसका श्रेय जाता है मित्र सुनील को | उसने अपने ब्लॉग पर नये साल पर एक [...]