naya saal nahi ek anjaam hai
jeevan ke safar me bas ek mukaam hai
samay hai peeche dekh ke
thoda hansne , thoda rone ka
aur un beeto palo ko thoda sa
phir se jee lene ka
naya saal nahi ek anjaam hai
jeevan ke safar me bas ek mukaam hai
samay hai aage ke raasto ko utsaah se dekhne ka
apne kamiyo ko nikal fekne ka
sampurna hota nahi koi
sampurnta ki bas talaash hi jeevan ka kaam hai
naya saal nahi ek anjaam hai
jeevan ke safar me bas ek mukaam hai
mat karo naye vaade apne se
tute vaado ko bhojh bada bhari hota hai
agar karna hai to ye vada kar lo
ki chehre pe mushkaan,dil me ek tarang
aur man me na koi bojh ho
itna karna hi kaam tamaam hai