angadiyo ke bandhan se apne sharir ko baandh
nidra ko humne dur subah bhagaya
kya bataye dost, subah uthne me kya maja aaya
nikal ke jab hum apne balcony pe aaye
to dekha
suraj ko athkeli karte hue
laga ki jaise haule se wo kuhase ko hata
tharthi ki taraf raha tha haath badha
kya bataye dost, subah uthne me kya maja aaya
jab pahli kiran ne dharti ko chua
to uthi ek sihran
ek ful khila kahi
kahi ek papeeha bola
bhool gaye the ki subah bhi itni rumaani hoti hai
kya bataye dost, subah uthne me kya maja aaya
socha ki
ab jab aalas ki chaadar di hai phenk
to kyun na chal kar ke aaye apna matha hum tek
bhaye taiyar hum sampurna samay le ke
apne haath me ho sakta hai itna samay
ye na tha pata hume
kya bataye dost, subah uthne me kya maja aaya
nikale hum saj ke Prabhu ke dar ki ore
Bhanu bhi mano dikha raha tha rashta
stabdh kyun hote the kavi aur chitrakaar
is drishya ko dekh ke
aaj bahut din baad iska ehsaas hua
kaun na hoga stabdh
jab aapke pairo ko Ravi pavitra kar jaye
kya bataye dost, subah uthne me kya maja aaya
Mandir ke dwar pe hum pahunche
to ek chad ko ruk gaye
socha na tha ki itne log subah Prabhu ke paas hai aate
2 chad ko hui glani
phir man hua abhimaani
ki aur din ka koi nahi
aaj to Prabhu ne yaad kiya na hume
apni taakat to tamas se ladne ki hai nahi
hamare uthane me bhi Prabhu ki icha hai
is khyal se man ot-prot jaise hi hua
apne aap matha jhuk gaya
kya bataye dost, subah uthne me kya maja aaya
Andar jaa ke
Prabhu ki wo nyari murti nihaar ke
shabd kho gaye
dil bhar gaya
iske aage ye kavi likh nahi sakta
jo atulinya hai , uska varran kar nahi sakta
itna sun lo bas mere dost
ki wo jhanki abhi tak hai hriday me qaid
aaj subah se hum duniya me ghum to rahe hain
par dekh kewal Prabhu ko rahe hain
dekh kewal Prabhu ko rahe hain
kya bataye dost, subah uthne se kya maja aaya